Friday, June 12, 2009

Business Idea

Remember the famous dialogue from the movie Deewar - Mere pass gaadi hai, bangla hai, bank balance hai tumhare pass kya hai?. I am using the same dialogue and trying to write a funny story.

Amitabh Bachan – Mere pass gaadi hai, bangla hai, bank balance hai. Tumhare pass kya hai?
Shashi Kapoor – Mere pass business idea hai.
Amitabh Bachan – Hayiii. Yeh business idea kya hota hai?
Shashi Kapoor – Gaadi kaisi hai? 2-wheeler, 3-wheeler ya 4-wheeler?
Amitabh Bachan – Mere pass Honda city car hai.
Shashi Kapoor – Bhai aajkal Honda city ka zamana nahi hai. Bank balance se ek auto kharido bhai.
Amitabh Bachan – Usse kya honga? Hayiii
Shashi Kapoor – Bhai woh auto sinfy ke pass chalana. Log reserve mein auto lenge aur tumhara bank balance ek common software engineer jitna ho jayega.
Amitabh Bachan (Surma Bhopali from sholay style) – Yeh kya keh riye ho?
Amitabh Bachan – Main Don hoon koi auto driver nahi. Samjhe?
Shashi Kapoor – Bhai bada socho. Aajkal auto walo se koi panga nahi le sakta. Ab ghar toh jaana hai toh auto lena honga. Aur jitna rate mangoge logon ko dena honga.
Amitabh Bachan – I don’t like the idea. Aur koi business idea hai?
Shashi Bachan – Haan bhai. Mere pass toh idea hi idea hai. Acha bhai are you sure you have a banglow?
Amitabh Bachan – Haan. Humara ghar toh sabse bada hai. Usse bada ghar iss sehar mein nahi dekha honga.
Shashi Kapoor – Bhai aapke ghar mein kitne room hain?
Amitabh Bachan – Humare bangle mein 10 room hain. Ab idea batao.
Shashi Kapoor – Wah bhai itne saare room. Itne toh aajkal ek 3 BHK mein beds lagte hain. Aur bhai ek bed ka rate hota hai Rs. 3000. Acha bhai tum apne kitne floors hain bangle hain?
Amitabh Bachan – 2 floors hain. Neeche mein 5 rooms aur upar mein 5 rooms.
Shashi Kapoor – Acha bhai bangle ka main door kholte hi hall aata hai ya bedroom?
Amitabh Bachan (in angry tone)– Yeh kaisa non-sense sawal hai. Main door kholte hi hall aata hai.
Shashi Kapoor – Bhai gussa kyu hote ho. Aajkal yeh bhi fashion mein hai. Hall ko log bedroom mein convert kar dete hain. 1 hall aur 1 bedroom ka ghar 2BHK ban jaata hai.
Amitabh Bachan – Acha. Par yeh BHK hota kya hai?
Shashi Kapoor – Bhai kyu majak kar rahe ho. Waise hum business ki baat kar rahe the. Acha neeche ke 5 rooms hum apne liye rakh lenge. Ek mein aap rehna, ek mein main, ek mein maa rahegi, ek puja ghar aur ek ko hum guest room bana denge.
Amitabh Bachan – Maa wapas aa jayegi mere pass?
Shashi Kapoor – Haan bhai. Main jaisa kehta hoon waisa karoge toh jarur aa jayegi. Upar ke 5 rooms mein 3 beds laga kar rent par laga do. Aur ek bed ka rent minimum Rs. 2000 charge karna.
Amitabh Bachan (Kishor kumar style from Padosan) – Arey bangroo, idea toh acha hai. Par tujhe nahi lagta ki rent kuch jyada hai. Rs. 2000/bed?
Shashi kapoor – Arey bhai bada socho. Aajkal log aise hi business karte hain.
Amitabh Bachan – Business toh Abhishek ne kiya tha Guru mein phir bhi last mein court case hua. Aur humare ABCL ka haal toh jaante ho kaisi buri halat ho gayi thi ek time. Pata chala beds le liye paise invest kar diye aur log nahi aaye rent par rehne ke liye. Profit nahi hua toh risk ho jayega.
Shashi Kapoor – Bhai iss business mein sirf profit hi profit hai. Tum try toh karo. Kisi ko pata bhi nahi chalega. Iske liye toh koi income tax proof dikhane ki jarurat nahi hai.
Amitabh Bachan (Again in Surma Bhopali from sholay style) – Yeh kya keh riye ho? Maine toh suna hai ki rent bhi income hota hai toh income tax department ko dikhana toh padega.
Shashi Kapoor – Bhai yeh kaisi baat karte ho. Tum don ho na ki koi common software engineer. Income aur tax ki baatein tumhare muh se achi nahi lagti.
Amitabh Bachan – This idea sounds interesting. Main aaj hi investment karta hoon ghar par. Aur maa ke swagat ka bhi intazam karta hoon.
Shashi Kapoor – Good bhai tumko mera yeh idea pasand aaya. Bhai ek baat aur?
Amitabh Bachan – Haan bol bhai kya chaiye?
Shashi Kapoor – Ab maine tumhare bank balance ko badhane ka idea diya hai toh mera bhi bank balance badhao. Transfer some money to my account bhai.
Amitabh Bachan – Hayiii. Jao pehle usse paise lekar aao jisne humara baap ko paise nahi diye aur mere haath par yeh likh diya ki tumhara baap garib hai. Usse paise lekar aao jisne maa ki din bhar ki majduri ke paise nahi diye. Jao usse paise lekar aao jisne mere se paise chin liye.
Shashi Kapoor – Bhai you want to meet maa then you have to give me the money. Aur waise bhi bhai tumko pata hai mujhe Ghajini wali problem. Mujhe kisi ka naam aur sakal yaad nahi hai.
Amitabh Bachan – Acha thik hai. Yeh toh yaad rahega na ki shaam ko maa ko lekar aana hai.
Shashi Kapoor – Haan bhai. Bas Rs. 10000 mere business idea ke liye transfer kar dena aur ghar ke rent ka business partnership mein karege.
Amitabh Bachan – Rs. 10000 for business idea. Hayiii. Acha thik hai tum bhi kya yaad rakhoge kis dil dar se mile ho. Yeh rahe Rs. 5000 aur baaki Rs. 5000 shaam ko maa ke aane ke baad mil jayege.
Shashi Kapoor – Bhai tujh mein rab dikhta hai. Abhi chalta hoon police station mein commissioner sir ko good news de deta hoon ki don ne naya tarika nikala hai logon ko lootne ka. Aur yeh tarika aaj kal har koi apna rahe hain. Woh toh khush ho jayege. Shaam ko maa ke saath aata hoon bagle par.
Amitabh Bachan – Hayiii. Shaam ko milte hain.

1 comment:

T.K.Shrivastava said...

By God Richa,
How can u get this idea...??