Tuesday, February 15, 2011

What did you gift your valentine?

Pappu Munni ke ghar gaya iss Valentine's Day.

Pappu ne Munni ke ghar ki ghanti bajayi; Munni ne darwaza khola.

Munni - "Tum yahan phir se? Pappu saala dance nahi kar paya aur badnam Munni ho gayi"

Pappu (SRK style) - "Oh Munni darling... Dont be upset... Pappu loves you. Dekho main tumhare liye gift bhi lekar aaya hoon."

Munni - "Gift kaisa gift? Phir se wahin purane red roses?"

Pappu - "Nahi Munni iss baar kuch special hai. Chalo apni aankhen band karo."

Munni - "Kuch meetha lekar aaye ho kya? Khane walo toh khane ka bahana chaiye. Bole toh chocolates."

Pappu - "No Munni. Tum aankhen toh band karo."

Munni - "Dekho na roses hain, na chocolates hai toh kumse kum ek teddy de do."

Pappu - "Tumne kya mere pyar ko itna sasta samjh rakha hai? Main toh tumhare ek bahut mehngi cheez laya hoon."

Munni - "Kya?"

Pappu - "Khud chal kar dekh lo."

Munni - "Yeh kya hai..."

After a silence of 2 seconds

Munni - "Ek bori pyaaz?"




Pappu - "Ek bori pyaaz ki kimat tum kya jaano Munni darling, khane mein swad lata hai yeh pyaz, garibon ki bhookh mitata hai yeh pyaaz, inflation mein high returns dilata hai yeh ek bori pyaaz. So what do you think Munni?"

Munni - "Munni khush hue. Par iss pyaaz mein pyar kahan hai? Kahan hai pyaar bolo Pappu. Kya yeh pyaaz badnam Munni ko Shiela jaisa pyar de sakta hai?"

Pappu - "Munni pyaaz ka rang hai gulabi aur Pappu ke pyar ka rang bhi hai gulabi. Aur yeh Pappu ka wada hai ki woh tumhe itna pyar denga, itna pyar denga ki Shiela ki jawani bhi thandi padh jayegi."

Munni - "Oh Pappu I love you"

Pappu - "Toh chalo Munni kahin durr chale hum aur ek saath inn pyaaz ki gulabi wadiyon mein kahin kho jaye."

Pappu and Munni eating chicken do pyaza together. Background mein Papa kehte hain song baj raha hai :-D

P.S. What did you gift your valentine? :-D

5 comments:

ashish alok said...

good satire... do keep writing, waiting 4r other on

Balpreet said...

it was a gud 1:)

sumit said...

mahangai ne pehle diwali par rulaya tha, is bar valentine par bhi rulaya hai, kyuki premi ke man me premika ko pyaaz gift karne ka khayal aaya hai. rone ka pyaaz ke saath choli-daman ka rishta hai, idhar kuch dino se consumer price index ki bhi halat kuch kuch khasta hai. is pyaar me toh kambakhat desh ki economy involve ho gayi, MNC walon ki bhi problem solve ho gayi. news walon ko bhi mauka mila hai kuch likhne ka, politics walon ko bhi mauka hai limelight me dikhne ka. jab se pyaar ka business ke saath pact ho gaya hai, pyar ka bahot side effect ho gaya hai.

sukanya sikdar said...

nice one....:-)

santsaini1988 said...

me bhi pyaj hi gift karne ki soch rha hoo :D